Az Jawed Badayuni
**********************************************
Syed mile Iqbal se jannat ki gali me_n
Aur pooch
yeh baithhe ke mujahid hai khhabar kya
Iqbal yeh bole ke bura haal
hai Syed
Sub bhool gaye tum ne sikhaaya tha hunar kya
Khhudgharz hain sub apni
hi fikro_n men lage hain
Auro_n ke liyee aaj koyee bechega
ghar kya
Bus yaad yeh karte hai_n tujhe tere dinner per
Dekha hai zamane ne kahi_n aisa dinner kya
Kuchh hosh nahi_n qaum ki bud-haali ka inko
Jab khhud se hai_n behaal to auro_n pe nazar kya
Nawaqif-e manzil hai_n tiri qaum ke rahbar
Auro_n ko woh dikhlayen bhala rah_e safar kya
Hai qaum ki qismat me_n andhera hi andhera
Sub dete hain tareeki hi kya shams qamar kya
Ser-sabzi-o shadabi se ho khhud hi jo mahroom
Auro_n ko bhala bhakhshe ga saya who shajar kya
**********************************************************