Home | Recent Pics | Jokes n Poems | Shayari-e-Halaat-e-Hazera | singaporePics | Jokes | About Me | Favorite Links | Contact Me | Family Photo Album | My Friends | My Convocation | My Favourite Photos | My Info

Wasiul Hasan @ Khawar Rizvi's Home

Current Affairs (Halaat-e-Hazera) Shayri

All the ash-aars here will be related to current affairs in Indian politics.

Ghuraba ki bhook se maut
 
Aise soye hai_n na jage_n ge  kabhi unke zameer
Ahl-e   sarmaya   kaha_n   waqt  se  darne  waale
 
Yeh  tiree  maut  amero_n   ke dhule daaman per
Badnuma  daagh  hai  ai  bhook  se marne  waale

Bush-Musharraf meeting
 
Mil   rahe   haiN    kholoos    se     dono_n
Aur     iraade    bhi      nek    lagte     hai_n
 
Meem   aur   Bay   ka  farq  hai  warna
Mush o Bush  dono_n   ek  lagte hai_n
 
 
Laloo's visit to Pakistan
 
**********************************************
Laloo kahne lage "Musharraf"  se
Mere   soobe   ka   baar    bhi    lelo
 
Tum  ko  Kashmir  mil to sakta   hai
Shart     yeh   hai    Bihar    bhi   lelo

---------------------------------------------------------------------

Hamare   log   samajhte  haiN   tumko   apna   dost

hum   aaj    leke    unhi    ka   Salaam   aaye   haiN

NahiN  hai haath meN Laloo ke ab koyee laathi

Woh  aaj     leke    wafa  ka   payaam   aaye   haiN

**********************************************

India-Pakistan Relations
 
Agre me_n kabhie  Lahore kabhi  Shimla  me_n
 
Kabhi hum tumko bulaate kabhi hum khood aate
 
Yoon  barha  zor-e   ana  rabt-e  wafa toot  gaya
 
" Warna  itne to  maraasim  the  ke  aate  jaate "
 
Bombay Blasts
...................................................................................................................................
Tabaahee hi machaayega ke yeh bum
Tabaahee   ka  hi   rastaa   jaanta   hai
 
Brahman  bhi  mitenge  Sheikh jee bhi
Yeh bum  hai  yeh  kise pahchanta hai
.......................................................................
Inko   kis   baat    ki   mili     hai    saza
Jurm  inka  huzoor  kuch  bhi  na  tha
 
Jin  ke  chithrhe   urha  diye   tum  ne
Unka shayad qusoor kuch bhi na tha
.....................................................................
Indo-Pak Relations
*************************************************
Kabhi  na  aane  se  behtar hai  der  se  aana
Jo kaam kar na sake kal woh aaj  karne  lage
 
YahaN tak aa gaye rishte buri nazar na lage
Hamare    log     tumhara   ilaaj   karne   lage
---------------------------------------------------------------

Yeh Bus nahi_n hai mohabbat ki  ik  sawaari hai
Tum  isme_n   baithke    aao   gale   se   lag   jaao
 
Yeh aarzee hai Khhuda jaane phir  chale  na chale
To   iske   rukne   se   pahle   hi   tum   chale    aao
*************************************************